dahan par haiñ un ke gumāñ kaise kaise
kalām aate haiñ darmiyāñ kaise kaise
zamīn-e-chaman gul khilātī hai kyā kyā
badaltā hai rañg āsmāñ kaise kaise
tumhāre shahīdoñ meñ dāḳhil hue haiñ
gul-o-lāla-o-arġhavāñ kaise kaise
bahār aa.ī hai nashshe meñ jhūmte haiñ
murīdān-e-pīr-e-muġhāñ kaise kaise
ajab kyā chhuTā ruuh se jāma-e-tan
luTe raah meñ kārvāñ kaise kaise
tap-e-hijr kī kāhishoñ ne kiye haiñ
judā post se ustuḳhāñ kaise kaise
na muḌ kar bhī be-dard qātil ne dekhā
taḌapte rahe nīm-jāñ kaise kaise
na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dārā
miTe nāmiyoñ ke nishāñ kaise kaise
bahār-e-gulistāñ kī hai aamad aamad
ḳhushī phirte haiñ bāġhbāñ kaise kaise
tavajjoh ne terī hamāre masīhā
tavānā kiye nā-tavāñ kaise kaise
dil-o-dīda-e-ahl-e-ālam meñ ghar hai
tumhāre liye haiñ makāñ kaise kaise
ġham-o-ġhussa o ranj-o-andoh-o-hirmāñ
hamāre bhī haiñ mehrbāñ kaise kaise
tire cilk-e-qudarat ke qurbān āñkheñ
dikhā.e haiñ ḳhush-rū javāñ kaise kaise
kare jis qadar shukr-e-ne.amat vo kam hai
maze lūTtī hai zabāñ kaise kaise