sukūn-e-qalb mayassar kise jahān meñ hai
tirī zamīñ meñ kahāñ vo jo āsmān meñ hai
mazā hayāt kā us shaḳhs se kabhī pūchho
jo tez dhuup kī chādar ke sā.ebān meñ hai
palak se TuuT ke jab ashk ḳhaak meñ mil jaa.e
samajh lo tab ye ġharīb-ul-vatan amaan meñ hai
mujhe bhī gūñgā banā.eñge ek din ye log
mahal kā aib jo poshīda is zabān meñ hai
vafā ḳhulūs mohabbat bhī bik rahe haiñ miyāñ
har ek chiiz mayassar mirī dukān meñ hai
usī kī zaat se is ghar kī bach ga.ī izzat
jo khoTe sikke kī mānind ḳhāndān meñ hai
biThā diye haiñ kisī ne havāoñ par pahre
tabhī to itnī ghuTan jism ke makān meñ hai
bichhaḌte vaqt jo tum ne kahā thā mujh se kabhī
vo jumla aaj bhī mahfūz mere kaan meñ hai