Haidar Ali Aatish

fareb-e-husn se gabr-o-musalman ka chalan bigDa

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
fareb-e-husn se gabr-o-musalmāñ kā chalan bigḌā
ḳhudā kī yaad bhūlā shaiḳh but se barhaman bigḌā
qabā-e-gul ko phāḌā jab mirā gul-pairahan bigḌā
ban aa.ī kuchh na ġhunche se jo vo ġhuncha-dahan bigḌā
nahīñ be-vajah hañsnā is qadar zaḳhm-e-shahīdāñ kā
tirī talvār kā muñh kuchh na kuchh ai teġh-zan bigḌā
takalluf kyā jo khoī jān-e-shīrīñ phoḌ kar sar ko
jo thī ġhairat to phir ḳhusrav se hotā kohkan bigḌā
kisī chashm-e-siyah kā jab huā sābit maiñ dīvāna
tū mujh se sust hāthī kī tarah jañgalī hiran bigḌā
asar iksīr kā yumn-e-qadam se terī paayā hai
jozāmī ḳhāk-e-rah mal kar banāte haiñ badan bigḌā
tirī taqlīd se kabk-e-darī ne Thokareñ khā.īñ
chalā jab jānvar insāñ kī chaal us kā chalan bigḌā
zavāl husn khilvātā hai meve kī qasam mujh se
lagāyā daaġh ḳhat ne aan kar seb-e-zaqan bigḌā
ruḳh-e-sāda nahīñ us shoḳh kā naqsh-e-adāvat se
nazar aate hī aapas meñ har ahl-e-anjuman bigḌā
jo bad-ḳhū tifl-e-ashk ai chashm-e-tar haiñ dekhnā ik din
gharauñde kī tarah se gumbad-e-charḳh-e-kuhan bigḌā
saf-e-mizhgāñ kī jumbish kā kiyā iqbāl ne kushta
shahīdoñ ke hue sālār jab ham se tuman bigḌā
kisī kī jab koī taqlīd kartā hai maiñ rotā huuñ
hañsā gul kī tarah ġhuncha jahāñ us kā dahan bigḌā
kamāl-e-dostī andesha-e-dushman nahīñ rakhtā
kisī bhañvre se kis din koī mār-e-yāsman bigḌā
rahī nafrat hamesha dāġh-e-uryānī ko phaa.e se
huā jab qat.a jaama par hamāre pairahan bigḌā
ragaḌvā.īñ ye mujh se eḌiyāñ ġhurbat meñ vahshat ne
huā masdūd rasta jāda-e-rāh-e-vatan bigḌā
kahā bulbul ne jab toḌā gul-e-sausan ko gulchīñ ne
ilāhī ḳhair kiijo nīl-e-ruḳhsār-e-chaman bigḌā
irāda mere khāne kā na ai zāġh-o-zaġhan kiijo
vo kushta huuñ jise sūñghe se kuttoñ kā badan bigḌā
amānat kī tarah rakkhā zamīñ ne roz-e-mahshar tak
na ik mū kam huā apnā na ik tār-e-kafan bigḌā
jahāñ ḳhālī nahīñ rahtā kabhī izā-dahindoñ se
huā nāsūr-e-nau paidā agar zaḳhm-e-kuhan bigḌā
tavañgar thā banī thī jab tak us mahbūb-e-ālam se
maiñ muflis ho gayā jis roz se vo sīm-tan bigḌā
lage muñh bhī chiḌhāne dete dete gāliyāñ sāhab
zabāñ bigḌī to bigḌī thī ḳhabar liije dahan bigḌā
banāvaT kaif-e-mai se khul ga.ī us shoḳh kī 'ātish'
lagā kar muñh se paimāne ko vo paimāñ-shikan bigḌā
Top Urdushayar.com