raftagāñ kā bhī ḳhayāl ai ahl-e-ālam kījiye
ālam-e-arvāh se sohbat koī dam kījiye
hālat-e-ġham ko na bhūlā chāhiye shādī meñ bhī
ḳhanda-e-gul dekh kar yaad ashk-e-shabnam kījiye
aib-e-ulfat roz-e-avval se mirī tīnat meñ hai
dāġh-e-lāla ke liye kyā fikr-e-marham kījiye
apnī rāhat ke liye kis ko gavārā hai ye rañj
ghar banā kar gardan-e-mehrāb ko ḳham kījiye
ishq kahtā hai mujhe raam us but-e-vahshī ko kar
husn kī ġhairat use samjhātī hai ram kījiye
raat sohbat gul se din ko ham-baġhal ḳhurshīd se
rashk agar kiije to rashk-e-baḳht-e-shabnam kījiye
dīda-o-dil ko dikhāyā chāhiye dīdār-e-yār
husn ke aalam se ā.īnoñ ko mahram kījiye
shakl-e-gul hañs hañs ke roz-e-vasl kaaTe haiñ bahut
hijr kī shab sub.h ro kar misl-e-shabnam kījiye
thī sazā apnī jo shādī-marg qismat ne kiyā
hijr meñ kis ne kahā thā vasl kā ġham kījiye
aap kī nāzuk kamar par bojh paḌtā hai bahut
baḌh chale haiñ had se gesū kuchh inheñ kam kījiye
uTh ga.ī haiñ sāmne se kaisī kaisī sūrateñ
roiye kis ke liye kis kis kā mātam kījiye
roz mardum shab kiye detā hai surma pochhiye
ḳhuun hote haiñ bahut shauq-e-hinā kam kījiye
ā.īne ko rū-ba-rū aane na diije yaar ke
shāna se 'ātish' mizāj-e-zulf barham kījiye