Haidar Ali Aatish

sar shama san kaTaiye par dam na mariye

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
sar sham.a saañ kaTā.iye par dam na māriye
manzil hazār saḳht ho himmat na hāriye
maqsūm kā jo hai so vo pahuñchegā aap se
phailā.iye na haath na dāman pasāriye
tālib ko apne rakhtī hai duniyā zalīl o ḳhvār
zar kī tama.a se chhānte haiñ ḳhaak niyār.iye
tanhā.ī hai ġharībī hai sahrā hai ḳhaar hai
kaun āshnā-e-hāl hai kis ko pukāriye
tum fātiha bhī paḌh chuke ham dafn bhī hue
bas ḳhaak meñ milā chuke chaliye sidhār.iye
Top Urdushayar.com