jauhar nahīñ hamāre haiñ sayyād par khule
le kar qafas ko uḌ ga.e rakkhā jo par khule
shīshe sharāb ke raheñ āThoñ pahar khule
aisā ghire ki phir na kabhī abr-e-tar khule
kuchh to hameñ haqīqat-e-shams-o-qamar khule
kis kaj-kulah ke ishq meñ phirte haiñ sar khule
insāf ko haiñ dīda-e-ahl-e-nazar khule
parda uThā ki parda-e-shams-o-qamar khule
rañgrez kī dukāñ meñ bhare huuñ hazār rañg
turra vo hai jo yaar kī dastār par khule
kyā chiiz hai ibārat-e-rañgīñ meñ sharh-e-shauq
ḳhat kī tarah tabī.at-e-basta agar khule
jo chāheñ yaar se kahīñ aġhyār ġham nahīñ
ḳhvāja ko haiñ ġhulām ke aib-o-hunar khule
haivāñ par aadmī ko sharaf nutq se huā
shukr-e-ḳhudā kare jo zabān-e-bashar khule
yūsuf kī ik dukāñ meñ na tū ne talāsh kī
bāzār kaun kaun se ai be-ḳhabar khule
shīrīñ-dahan se tere ta.ajjub hai guftugū
e.ajāz hai agar girah-e-naishakar khule
kaT jaa.e vo zabāñ na ho jis se duā-e-ḳhair
phūTe vo aañkh jo ki na vaqt-e-sahar khule
kotah hai is qadar mire qad par ridā-e-aish
Dhāñkūñ jo paañv ko to yaqīñ hai ki sar khule
qātil jazā-e-ḳhair mile terī teġh ko
zaḳhmoñ ke muñh khule nahīñ jannat ke dar khule
fasl-e-bahār aa.ī hai chaltā hai daur-e-jām
muġh kī dukān shaam khule yā sahar khule
pā-posh ham ne maarī hai dastār-o-tāj par
saudā-e-zulf-e-yār meñ rahte haiñ sar khule
kaif-e-sharāb-e-nāb kā anjām ho ba-ḳhair
shalvār-band sāqī-e-rashk-e-qamar khule
nā-ḳhvāñda sharh-e-shauq jalā.e ga.e ḳhutūt
bāñdhe ga.e vo jo ki mire nāma-bar khule
chāhe safā tū saath tahārat ke zikr kar
parhez kar to tujh ko davā kā asar khule
hañs kar dikhā.e daañt jo ham ko to kyā huā
le lījiye jo qīmat-e-silk-e-guhar khule
kahtā huuñ rāz-e-ishq magar saath shart ke
kānoñ hī tak rahe na zabāñ ko ḳhabar khule
mushtāq bandishoñ ke haiñ ḳhvāboñ ko chāhiye
bañdhvā.eñ shā.eroñ se jo un kī kamar khule
ruktī na us se choT na chaltī ye qātilā
hāthoñ se tere jauhar-e-teġh-o-sipar khule
matlab na sarnavisht kā samjhā tū shukr kar
dīvāna ho jo hāl-e-qazā-o-qadar khule
chalnā paḌegā yaar kī ḳhidmat meñ sar ke bal
samjhe ho kyā jo baiThe ho 'ātish' kamar khule