vahshat-e-dil ne kiyā hai vo bayābāñ paidā
saikḌoñ kos nahīñ sūrat-e-insāñ paidā
sahar-e-vasl karegī shab-e-hijrāñ paidā
sulb-e-kāfir hī se hotā hai musalmāñ paidā
dil ke ā.īne meñ kar jauhar-e-pinhāñ paidā
dar-o-dīvār se ho sūrat-e-jānāñ paidā
ḳhaar dāman se ulajhte haiñ bahār aa.ī hai
chaak karne ko kiyā gul ne garebāñ paidā
nisbat us dast-e-nigārīñ se nahīñ kuchh is ko
ye kalā.ī to kare panja-e-marjāñ paidā
nashsha-e-mai meñ khulī dushmanī-e-dost mujhe
āb-e-añgūr ne kī ātish-e-pinhāñ paidā
baaġh sunsān na kar in ko pakaḌ kar sayyād
ba.ad muddat hue haiñ murġh-e-ḳhush-ilhāñ paidā
ab qadam se hai mire ḳhāna-e-zanjīr ābād
mujh ko vahshat ne kiyā silsila-jumbāñ paidā
ro ke āñkhoñ se nikālūñ meñ buḳhār-e-dil ko
kar chuke abr-e-mizha bhī kahīñ bārāñ paidā
na.ara-zan kunj-e-shahīdāñ meñ ho bulbul kī tarah
āb-e-āhan ne kiyā hai ye gulistāñ paidā
naqsh un kā na kisī la.al se lab par baiThā
mere muñh meñ hue the kis liye dandāñ paidā
ḳhauf nā-fahmī-e-mardum se mujhe aatā hai
gaav ḳhar hone lage sūrat-e-insāñ paidā
ruuh kī tarah se dāḳhil ho jo dīvāna hai
jism-e-ḳhākī samajh is ko jo ho zindāñ paidā
be-hijāboñ kā magar shahr hai aqlīm-e-adam
dekhtā huuñ jise hotā hai vo uryāñ paidā
ik gul aisā nahīñ hove na ḳhizāñ jis kī bahār
kaun se vaqt huā thā ye gulistāñ paidā
mojid us kī hai siyah-rozī hamārī 'ātish'
ham na hone to na hotī shab-e-hijrāñ paidā