Haidar Ali Aatish

shohra-e-afaq mujh sa kaun sa diwana hai

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
shohra-e-āfāq mujh sā kaun sā dīvāna hai
hind meñ maiñ huuñ paristāñ meñ mirā afsāna hai
said-gāh-e-murġh-e-dil ruḳhsāra-e-jānāna hai
dām-e-zulf-e-ambarīñ hai ḳhāl-e-mushkīñ daana hai
husn se rutba hai apne ishq-e-kāmil kā buland
āstāna par parī hai baam par dīvāna hai
is meñ rahtā hai safā-e-rū-e-jānāñ kā ḳhayāl
dil nahīñ pahlū meñ apne ā.īna kā ḳhāna hai
bechtā huuñ dil ko jo mahbūb chāhe mol le
bosa qīmat hai tavajjoh kī nazar bai.āna hai
phūTeñ vo āñkheñ nigāh-e-bad se jo dekheñ tujhe
ātishīñ ruḳhsār mijmar ḳhaal kaalā daana hai
roz-o-shab us sham.a-rū ko bhejtā huuñ ḳhatt-e-shauq
nāma-bar din ko kabūtar raat ko parvāna hai
ḳhaar ḳhār-e-dil ġhanīmat jāntā huuñ ishq meñ
zulf-e-dūd-e-āh kī ārastagī kāshāna hai
sharh likkhā chāhiye us kī bayāz-e-sub.h par
matla-e-ḳhurshīd bait-e-abrū-e-jānāna hai
hālat-e-ā.īna rakhtā hai safā se dil mirā
āshnā se āshnā begāna se begāna hai
qatl se mujh saḳht-jāñ ke munkir ai qātil na ho
hujjat-e-qāte tirī talvār kā dandāna hai
vāste har shai ke duniyā meñ muqarrar haiñ mahal
shahr meñ jab tak hai majnūñ ganj-e-be-vīrānā hai
bāġh-e-ālam meñ nahīñ us shoḳh sā koī hasīñ
gul hai apnā yaar yūsuf sabza-e-begāna hai
ab nahīñ ai yaar jauban ko tire bīm-e-zavāl
ḳhatt-e-mushkīñ husn kī jāgīr kā parvāna hai
haal hai jis kā usī ke vāste hai ḳhushnumā
naqs hai talvār kā vasf arrā kā dandāna hai
yaar khīñche teġh tere qatl karne ke liye
sar jhukā 'ātish' ye jā-e-sajda-e-shukrāna hai
Top Urdushayar.com