sabza bālā-e-zaqan dushman hai ḳhalqullāh kā
rah-ravoñ kī maut hai ḳhas-posh honā chaah kā
mil biThānā hai falak manzūr kis dil-ḳhvāh kā
burj-e-mīzāñ meñ nahīñ be-vaj.h aanā maah kā
bas ki phirtā hai ḳhayāl āñkhoñ meñ us dil-ḳhvāh kā
rañg-rū ke uḌne meñ aalam hai gard-e-rāh kā
safha-e-dil se uThā.ūñ kis tarah naqsh-e-sanam
mulk meñ hotā kisī ke ghar nahīñ allāh kā
kam-bizā.at se ḳhayāl-e-ḳhām hai kasrat ko faiz
iktifā kartā nahīñ lashkar ko paanī chaah kā
rāh-e-hastī meñ hai ruḳhsār-e-sanam se zindagī
tāza-dam kartā musāfir ko hai takiya raah kā
laash bhī galiyoñ meñ khiñchvā kar kiyā hai qatl-e-yār
tuul hī denā mazā hai qissa-e-kotāh kā
past fitrat se sivā.e rañj kuchh hāsil nahīñ
pā-ba-gil kashtī ko kar detā hai paanī thaah kā
chhoḌ kar ishq-e-sanam zāhid na ho maftūn-e-hūr
kab yaqīñ laatā hai daanā duur kī afvāh kā
dil ko abrū-e-sanam kā shefta kartī hai aañkh
dars detā hai moallim pahle bismillāh kā
ai sanam banda-navāzī hai sifat allāh kī
haif hai ḳhālī phire saa.il tirī dargāh kā
mā.il-e-māshūqa-e-ḳhusrav na ho ai kohkan
sher ke jhūTe ko khānā kaam hai rubāh kā
josh ashk-e-ātishīñ kā baa.is āh-e-sard hai
garm kartī hai havā jaaḌe kī paanī chaah kā
naza.a meñ aayā na bālīñ par mire yaar is liye
āḳhir-e-har-māh hai ma.amūl chhupnā maah kā
huuñ vo abtar tifl jis ko jaan khonā khel hai
kunj-e-marqad hai gharauñdā merī bāzī-gāh kā
āsmāñ rū-e-zamīñ hai yaar māh-e-chār-dah
halqa-e-ahbāb gird us ke hai haala maah kā
vo dahan hai chashma-e-shīrīñ tabassum mauj hai
vo zaqan hai chaah ḳhaal us meñ tavā hai chaah kā
nā-tavāñ merī tarah se hai jo ishq-e-husn se
koh se bhārī tarāzū meñ ho palla kaah kā
sher kahtā huuñ maiñ ai 'ātish' ḳhudā kī hamd meñ
merī har ik bait par aalam hai baitullāh kā