Haidar Ali Aatish

aable paon ke kya tu ne hamare toDe

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
aable paaoñ ke kyā tū ne hamāre toḌe
ḳhār-e-sahrā-e-junūñ arsh ke taare toḌe
zaqan o ruḳh meñ na jāsūsoñ se baaqī rakkhī
samar-e-gul chaman-e-husn ke saare toḌe
silsila apnī giraftārī kā kab qat.a huā
pahnī pāzeb unhoñ ne jo utāre toḌe
mast mujh sā bhī koī nashsha kā hogā na harīs
pī ke mai jaam ke dāñtoñ se kināre toḌe
sharbat-e-vasl hai tanqīd kī ḳhātir maujūd
tap-e-hijr aa ke badan ko na hamāre toḌe
ḳhatm duzdīda nigah par hai tirī tarrārī
dil nahīñ toḌe ahibbā ke piTāre toḌe
aa gayā vo shajar-e-husn nazar jab ham ko
bosa le kar lab-e-shīrīñ ke chuvāre toḌe
ishq be-dard se karne ko kahā thā kis ne
sar ko Takrā ke na dil dard ke maare toḌe
kunj-e-uzlat meñ biThāyā hai ḳhudā ne 'ātish'
ab jo tum yaañ se hile paaoñ tumhāre toḌe
Top Urdushayar.com