daulat-e-husn kī bhī hai kyā luuT
āñkhoñ ko paḌ ga.ī hai lūTā-lūT
chal rahī hai dilā havā-e-bahār
laala phūlā hai dāġh-e-saudā luuT
sāmne tere jo paḌe ai turk
us meñ ka.aba ho yā kalīsā luuT
chaar din hai bahār ai bulbul
zar-e-gul kā hazār toḌā luuT
saf-e-mizhgāñ se kah rahī hai vo chashm
dil mileñ jitne be-tahāshā luuT
sarf-e-allāh māl-e-duniyā kar
mard hai kuchh to bahr-e-uqbā luuT
saaf dil ho to jalva-gar ho yaar
aa.ina ho to ho tamāshā luuT
ne.amat-ḳhvān-e-husn jo mil jaa.e
ye samajh le hai mann-o-salvā luuT
gauhar-e-ābla hue to chale
leñge dīvāno ḳhār-e-sahrā luuT
jānte haiñ ki fauj-e-jañgī se
nahīñ sardār pher letā luuT
kaam mardoñ kā hai ye ai 'ātish'
rakhtī hai jaan kā bhī khaTkā luuT