Haidar Ali Aatish

toD kar tar-e-nigah ka silsila jata raha

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
toḌ kar tār-e-nigah kā silsila jaatā rahā
ḳhaak Daal āñkhoñ meñ merī qāfila jaatā rahā
kaun se din haath meñ aayā mire dāmān-e-yār
kab zamīn-o-āsmāñ kā fāsla jaatā rahā
ḳhār-e-sahrā par kisī ne tohmat-e-duzdī na kī
paañv kā majnūñ ke kyā kyā aabla jaatā rahā
dostoñ se is qadar sadme uThā.e jaan par
dil se dushman kī adāvat kā gila jaatā rahā
jab uThāyā paañv 'ātish' misl-e-āvāz-e-jaras
kosoñ pīchhe chhoḌ kar maiñ qāfila jaatā rahā
Top Urdushayar.com