nazar aatī hai duur kī sūrat
aañkh meñ hai huzūr kī sūrat
ek ye bhī hai nuur kī sūrat
dekh lī sham-e-tūr kī sūrat
kyuuñ na ho jaan kā azaab ye jism
tañg zindāñ qubūr kī sūrat
sar-e-turbat koī hai fitna-e-hashr
huī paidā futūr kī sūrat
ḳhānqa meñ parī thī shīshe kī
ban ke aa.ī jo huur kī sūrat
aa gayā kyā sū-e-qafas sayyād
ho ga.ī kyā tuyūr kī sūrat
phirtī hai aañkh meñ ba-sad-hasrat
ab dil-e-nā-subūr kī sūrat
ek hai ek kibriyā.ī meñ
uf vo us ke ġhurūr kī sūrat
hashr-zā uf vo suur kī āvāz
vo sarāfīl-o-sūr kī sūrat
baaḌh talvār kī sirāt kā pul
aur mushkil ubuur kī sūrat
sho.ala-zār ek lāla-zār hai ek
sāmne nār-o-nūr kī sūrat
muztarib apne haal par har ek
haa.e har nā-subūr kī sūrat
fard-e-isyāñ navishta-e-taqdīr
haa.e har be-qusūr kī sūrat
aas us ke karam kī qahr kā Dar
jo ho rabb-e-ġhafūr kī sūrat
ai maiñ qurbān shān-e-rahmat ke
nazar aa.ī huzūr kī sūrat
kis ko parvā-e-kausar-o-tasnīm
huī paidā surūr kī sūrat
sadqe kyā jald hashr meñ badlī
mujh sarāpā qusūr kī sūrat
ho mubārak siyāhkār 'riyāz'
nuur kī shakl nuur kī sūrat