rah gayā par vo tire chaak garebānoñ kā
hashr meñ koī bhī pursāñ nahīñ dīvānoñ kā
raah chalte huī hai daulat-e-dīdār nasīb
is meñ ehsān nahīñ aap ke darbānoñ kā
yaad aatī haiñ junūñ-ḳhez havā.eñ un kī
ab na vo ham haiñ na aalam vo bayābānoñ kā
are dīvāne zarā chal ke unheñ dekh to le
mai-kadoñ meñ hai mazā shaiḳh parī-ḳhānoñ kā
but ḳhudā huuñ ki na huuñ hai magar itnī tauqīr
but-kada aaj bhī ka.aba hai musalmānoñ kā
chashm-e-sāqī kī tarah hai asar-andāz ai shaiḳh
ba.ad tauba ke chhalaknā bhare paimānoñ kā
chuTkiyāñ aap na leñ mehñdī lage hāthoñ se
kaam deñge na ye nāḳhun kabhī paikānoñ kā
qaht jaa.e bhī magar ye nahīñ jaane ke 'riyāz'
ki mire ghar hai ijāra mire mehmānoñ kā