Riyaz Khairabadi

paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
paimāne meñ vo zahr nahīñ ghol rahe the
mere liye maiḳhāne kā dar khol rahe the
maiñ dair meñ chup duur se muñh dekh rahā thā
kis tarah bure bol ye but bol rahe the
karte the vo baiThe hue nāḳhun se judā gosht
kahne ko mire dil kī girah khol rahe the
sayyād ne kab nāvak-e-bedād lagāyā
ham uḌne ko jab shāḳh se par tol rahe the
ai aañkh dur-e-ashk vahī naza.a meñ kaam aa.e
ban kar tire dāman meñ jo anmol rahe the
ham baiThe the kis tarah tah-e-shāḳh fasurda
gul hañste the murġhān-e-chaman bol rahe the
shoḳhī se qayāmat ko vo pasañg banā kar
ham kitne haiñ bātoñ meñ hameñ tol rahe the
the sub.h ko vo sāġhar-e-jam dast-e-gadā meñ
ālūda mai-e-shab ko jo kashkol rahe the
kuchh chup se haiñ ab hashr meñ aane se kisī ke
baḌh baḌh ke 'riyāz' aaj bahut bol rahe the
Top Urdushayar.com