Riyaz Khairabadi

gumbad-e-madfan hai ya hai aasman baala-e-sar

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
gumbad-e-madfan hai yā hai āsmāñ bālā-e-sar
ye makīñ rakhte haiñ sab apne makāñ bālā-e-sar
yuuñ liye hoñ hashr meñ bār-e-garāñ bālā-e-sar
dosh par ḳhum hai gunah kī gaThriyāñ bālā-e-sar
chhoTī sī kashtī banā hai āsmāñ bālā-e-sar
sail-e-ashk is tarah chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bālā-e-sar
zer-e-masjid mai-kada maiñ mai-kade meñ mast-e-ḳhvāb
chauñk uThā jab dī mo.azzin ne azaañ bālā-e-sar
ham haiñ so.e sāya-e-gul meñ nahīñ itnā ḳhayāl
ai anādil is tarah shor-e-fuġhāñ bālā-e-sar
naḳhl-e-gul kī tarah dīvānoñ se bhī mānūs haiñ
lete haiñ bulbul jagah ai bāġhbāñ bālā-e-sar
ye nirālī terī ḳhilqat sham.a us par husn bhī
ham ne dekhī ek terī hī zabāñ bālā-e-sar
ḳhush kiyā yuuñ baaġh meñ lā kar mujhe sayyād ne
shāḳh ke nīche qafas hai āshiyāñ bālā-e-sar
bechte phirte haiñ mai ham is tarah raste galī
jā-e-ḳhum chhoTī sī hai mai kī dukāñ bālā-e-sar
rahm kar mālik ki maiñ do do farishte bhī lade
aur phir isyāñ kā bhī bār-e-garāñ bālā-e-sar
pīchhe pīchhe kārvāñ ke ham thake-māñde haiñ yuuñ
paañv meñ chhāle haiñ gard-e-kārvāñ bālā-e-sar
paañv ke nīche se niklī jaatī hai yārab zamīñ
khā rahe haiñ chakkar itne āsmāñ bālā-e-sar
maiñ vo huuñ mahshar ke pyāsoñ ko pilā.ūñ tau sahī
hauz-e-kausar hogā ai pīr-e-muġhāñ bālā-e-sar
ātish-e-rañg-e-hinā-o-zulf-e-pechāñ dekhiye
aag talvoñ meñ lagī niklā dhuāñ bālā-e-sar
lene jaatā hai haram se kyā kahīñ tum ko 'riyāz'
taaq par rakkhī hai botal mehrbāñ bālā-e-sar
Top Urdushayar.com