Riyaz Khairabadi

mujhko na dil pasand na dil ki ye KHu pasand

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mujh ko na dil pasand na dil kī ye ḳhū pasand
pahlū se mere jaa.e dil-e-ārzū-pasand
tujh ko adū pasand hai vaz-e-adū pasand
mujh ko adā pasand tirī mujh ko tū pasand
roz-e-azal the Dher hazāroñ lage hue
chupke se chhāñT laa.e dil-e-ārzū-pasand
tum ne to āstīñ ke sivā haath bhī rañge
aayā shahīd-e-nāz kā itnā lahū pasand
ai dil tirī jagah shikan-e-zulf meñ nahīñ
ḳhū bū tirī pasand na kāfir ko tū pasand
pahuñchā jo maiñ to dhuum machī bazm-e-yār meñ
aa.e haiñ aaj ek baḌe ārzū-pasand
masjid meñ zarf-e-āb na thā koī le chale
aayā jo mai-kade meñ achhūtā subū pasand
jannat kī huur jaise koī merī qabr par
ai sham.a is tarah mujhe aa.ī hai tū pasand
aatā pasand kaash kuchh un kā kalām bhī
bazm-e-suḳhan meñ aa.e ka.ī ḳhush-gulū pasand
din meñ shabāb ke vo bhare haiñ shabāb meñ
maskī huī qabā meñ nahīñ hai rafū pasand
merā mazāq aur hai mujh ko to ai kalīm
parde ke saath duur se hai guftugū pasand
mai kā na mai-kade kā nahīñ kuchh rahegā hosh
aa.e ḳhudā kare na koī ḳhūb-rū pasand
kis tarah us ne roke milāyā hai ḳhaak meñ
aayā na aañkh ko bhī hamārā lahū pasand
kuchh shauq hai to ahl-e-ḳharābāt se milo
ai sūfiyo nahīñ ye hameñ hāv-hū pasand
aa.egā mai-kasho bat-e-mai kā shikār yaad
jannat meñ aa ga.ī jo koī āb-jū pasand
sau baar sar se shaiḳh ke Takrā chuke jise
ham ko to mai-kade meñ vahī hai subū pasand
jab pī lagā ke muñh dam-e-iftār riñd ne
botal ke muñh kī aa.ī farishtoñ ko bū pasand
ho jā.ūñ maiñ bhī gum kahīñ terī talāsh meñ
terī tarah mujhe hai tirī justujū pasand
ye kaun haiñ 'riyāz' haiñ rusvā-e-kū-e-yār
aa.e haiñ aaj ban ke baḌe ābrū-pasand
Top Urdushayar.com