tez hai piine meñ ho jā.egī āsānī mujhe
zamzamī se de de zāhid to zarā paanī mujhe
dekhnā nāzuk bhī haiñ kamsin bhī haiñ bhole bhī haiñ
shaam se samjhā rahī hai un kī nādānī mujhe
baat bigḌī vasl meñ bigḌī jo tū ai zulf-e-yār
kuchh pareshānī tujhe hai kuchh pareshānī mujhe
haath uThā kar rah ga.e āñkheñ jhukā kar rah ga.e
teġh-e-uryāñ kī pasand aa.ī jo uryānī mujhe
ban gayā huuñ aa.ina ai jalva-hā-e-barq-e-tūr
mil ga.ī hai un kī ā.īne kī hairānī mujhe
aap use darbāñ batā.eñ uzr mujh ko kuchh nahīñ
sauñpiye ghar ġhair ko apnī nigahbānī mujhe
ḳhuub rotā huuñ bagūloñ se lipaT kar dasht meñ
yaad aatī hai jo apne ghar kī vīrānī mujhe
fasl-e-gul meñ rañg laayā hai shabāb-e-duḳht-e-raz
chheḌtī hai aa ke rātoñ ko ye mastānī mujhe
bol uThā joban kisī se bhī nahīñ dabne kā maiñ
sauñpiye sarkār ab apnī nigahbānī mujhe
raaz sar-basta rahā kab chāk-dāmānī kā haal
ai sabā dikhlā na apnī pāk-dāmānī mujhe
vaa.e qismat paḌ ga.ī kaisī girah-e-taqdīr meñ
uqda-e-mushkil nazar aatī hai āsānī mujhe
ab kahāñ taqdīr meñ haiñ ghūñT shahd-o-shīr ke
yaad aatī hai kisī shai kī farāvānī mujhe
chashm-e-rahm ai sāqī-e-kausar ki ab miltā nahīñ
tishnagān-e-karbalā ke naam par paanī mujhe
shāh-e-daurāñ hazrat-e-'hāmid'-alī-ḳhāñ ke sivā
kaun hai jis kī tavajjoh se ho āsānī mujhe
roz-afzūñ ho taraqqī daulat-o-iqbāl kī
aur mil jaa.e dar-e-daulat kī darbānī mujhe
chāhtā hai qais se achchhī rahe shakl-e-'riyāz'
ban chukā maiñ kyuuñ banātā hai are maanī mujhe