bahut hī parde meñ iz.hār-e-ārzū karte
nigāheñ kahtī haiñ ham un se guftugū karte
sharāb-e-nāb se saaqī jo ham vuzū karte
haram ke log tavāf-e-ḳhum-o-subū karte
vo mil ke dast-e-hinā.ī se dil lahū karte
ham aarzū to hasīñ ḳhūn-e-ārzū karte
daroġh-bāfī-e-dushman kā haal kyā khultā
jo parda chaak bhī hotā to vo rafū karte
utaar laate unheñ bām-e-tūr se dil meñ
ham iḳhtiyār vo andāz-e-guftugū karte
Dare vo kyuuñ mire phūloñ meñ aatī mil ke hinā
ye phuul ḳhaak tamannā-e-rañg-o-bū karte
kalīm ko na ġhash aatā na tuur hī jaltā
dabī zabān se iz.hār-e-ārzū karte
jo zarf-e-āb hameñ mai-kade meñ mil jaatā
namāz ka.abe meñ paḌhte yahāñ vuzū karte
mah-e-siyām meñ mauqa jo shab ko mil jaatā
to ek saañs meñ ḳhālī ḳhum-o-subū karte
sharāb piite hī sajde meñ un ko girnā thā
ye shaġhl baiTh ke mai-nosh qibla-rū karte
har ek qatre se bahtī riyāz jū-e-sharāb
jo pī ke ham sar-e-zamzam kabhī vuzū karte