Riyaz Khairabadi

ye kahan se hum gae hain kahan kahen kya teri tag-o-taz mein

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ye kahāñ se ham ga.e haiñ kahāñ kaheñ kyā tirī tag-o-tāz meñ
ki ye āsmān-o-zamīñ jahāñ na nasheb meñ na farāz meñ
tū darūn-e-ḳhāna barūn-e-dar tū hazār pardoñ meñ jalva-gar
are o haqīqat-e-parda-var tirī shoḳhiyāñ meñ majāz meñ
vahī aa.e arsh se farsh tak vahī chhā.e farsh se arsh tak
mile aise zarre hazār-hā hameñ ḳhāk-e-rāh-e-majāz meñ
kahīñ tez hai kahīñ narm hai yahī aañch mutrib-e-ḳhush-navā
mire naale meñ tire naġhme meñ mire soz meñ tire saaz meñ
tire sajde meñ vo mazā milā ki taḌap ke siine se aa rahā
koī daaġh hai ki hai dil mirā ye mirī jabīn-e-niyāz meñ
ye uḌā.eñge kabhī rañg bhī ye dikhā.eñge kabhī rañg bhī
yahī lā.eñge kabhī rañg bhī jo rañgeñ haiñ rañg-e-majāz meñ
ghaḌī jis kī hashr kā ek din shab-gor jis kā har ek pal
vo maze haiñ hasrat-e-marg meñ jo ḳhizr kī umr-e-darāz meñ
use laag ishq kī kahte haiñ use aag ishq kī kahte haiñ
na junūn hai ye junūn meñ na koī ye raaz hai raaz meñ
jinheñ log kahte haiñ duzd-e-mai vo ḳhudā-parast 'riyāz' haiñ
ye sunā hai kal ki janāb hī pas-e-ḳhum the mahv namāz meñ
Top Urdushayar.com