jo ham aa.e to botal kyuuñ alag pīr-e-muġhāñ rakh dī
purānī dostī bhī taaq par ai mehrbāñ rakh dī
qafas meñ shāḳh-e-gul sayyād ne ai āsmāñ rakh dī
banā kar shāḳh-e-gul haañ terī shāḳh-e-kahkashāñ rakh dī
ye kaisī aag bhar kar jaam meñ pīr-e-muġhāñ rakh dī
jo toḌī mehr-e-sāġhar se to kuchh uThā dhuāñ rakh dī
zarā chheḌā jo us ne ho ga.ī aisī za-ḳhud-rafta
ki sham-e-bazm ne gul-gīr ke lab par zabāñ rakh dī
ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai kā ai saaqī
barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh dī
chaman kā lutf aatā hai mujhe sayyād ke sadqe
qafas meñ lā ke us ne aaj shāḳh-e-āshiyāñ rakh dī
binā hai ek hī donoñ kī ka.aba ho ki but-ḳhāna
uThā kar ḳhisht-e-ḳhum maiñ ne vahāñ rakh dī yahāñ rakh dī
ye qais-o-kohkan ke se fasāne ban ga.e kitne
kisī ne TukḌe TukḌe sab hamārī dāstāñ rakh dī
ta.ayyun se munazzah shoḳhiyāñ haiñ us ke jalve kī
hamārī vus.at-e-dil meñ banā-e-lā-makāñ rakh dī
nazar muddat se thī ai shaiḳh jis par mai-faroshoñ kī
vo dastār-e-fazīlat rahīn ham ne mehrbāñ rakh dī
ye kyā thā jalva un kā dekhnā thā ham ko parde meñ
lagā kar aañkh se ham ne jo tasvīr-e-butāñ rakh dī
ye aalam hai 'riyāz' ek ek qatre ko tarastā huuñ
haram meñ ab bharī botal ḳhudā jaane kahāñ rakh dī