koī muñh chuum legā is nahīñ par
shikan rah jā.egī yūñhī jabīñ par
girī thī aaj to bijlī hamīñ par
ye kahiye jhuk paḌe vo ham-nashīñ par
lahu bekas kā maqtal kī zamīñ par
na dāman par na un kī āstīñ par
balā.eñ ban ke vo aa.iiñ hamīñ par
duā.eñ jo ga.iiñ arsh-e-barīñ par
ye qismat daaġh jis meñ dard jis meñ
vo dil ho luuT dast-e-nāznīñ par
rulā kar mujh ko poñchhe ashk-e-dushman
rahā dhabbā ye un kī āstīñ par
uḌaa.e phirtī hai un ko javānī
qadam paḌtā nahīñ un kā zamīñ par
are o charḳh dene ke liye daaġh
bahut haiñ chāñd ke TukḌe zamīñ par
nazākat kostī hai mujh ko kyā kyā
tabī.at aa.ī achchhī nāznīñ par
tamannā-e-asar uu chashm-e-hasrat
uThā rakh ab nigāh-e-vāpsīñ par
dharī rah jā.egī yūñhī shab-e-vasl
nahīñ lab par shikan un kī jabīñ par
ḳhudā jaane dikhā.egī ye kyā rañg
duā.eñ jam.a haiñ arsh-e-barīñ par
nigāh-e-shauq garam itnī ki bijlī
na aañch aa.e kahīñ us nāznīñ par
mujhe hai ḳhuun kā da.avā mujhe hai
unhīñ par dāvar-e-mahshar unhīñ par
'riyāz' achchhe musalmāñ aap bhī haiñ
ki dil aayā bhī to kāfir hasīñ par