Riyaz Khairabadi

jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se KHush

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
jo pilā.e vo rahe yārab mai-o-sāġhar se ḳhush
ḳhush rahe pīr-e-muġhāñ jaate haiñ us ke dar se ḳhush
sañg-e-ḳhūñ-ālūda ko samjhe haiñ ye gulshan kā phuul
toḌ kar sar tere dīvāne haiñ kyā patthar se ḳhush
us galī ke rahne vaale bhī maze ke log haiñ
fitna-e-mahshar se ḳhush hañgāma-e-mahshar se ḳhush
yuuñ gale se kyuuñ lagātā saḳht-jānoñ ko koī
ham gale mil kar hue kyā kyā tire ḳhanjar se ḳhush
ḳhum ke ḳhum bhar bhar ke jaa.eñ kam na ho mai būñd-bar
zāhid-o-ham haiñ tumhāre chashma-e-kausar se ḳhush
ḳhuun paanī ek merā ho gayā un ke liye
apne zaḳhm-e-dil se ḳhush hoñ apne chashm-e-tar se ḳhush
dil meñ ghar kartī hai vo kāfir mizha kāfir nigah
maiñ tire paikāñ se ḳhush huuñ maiñ tire nashtar se ḳhush
ḳhāna bāġh-e-ġhair meñ the yā khule maidān meñ
vo kahīñ se aa.e hoñ aa.e haiñ kuchh bāhar se ḳhush
mai-kade meñ aa ke piite haiñ pilāte haiñ 'riyāz'
kah rahī hai vaz.a un kī haiñ ye apne ghar se ḳhush
Top Urdushayar.com