maiñ uThā rakkhūñ na kuchh in ke liye
ye hasīñ mil jaa.eñ do din ke liye
vāda-e-fardā ke sachche mil ga.e
ab uThā rakkhūñ maiñ kis din ke liye
kal ke va.ade par na de vo mai-farosh
jis ne toḌe ham se gin gin ke liye
qorma murġh-e-sahar kā vasl meñ
bhej detā huuñ mo.azzin ke liye
ye na kahne ko ho be-gintī diye
maiñ ne bose un ke gin gin ke liye
muñh jhulasne ko ḳhizāñ kā andalīb
āshiyāñ meñ baiThe haiñ tinke liye
mai-kasho vaa.iz mire sar ho gayā
koī tadbīr is paḌhe jin ke liye
ye 'riyāz' un ke bahut the muñh lage
uTh rahā kyā aaj kuchh din ke liye