Riyaz Khairabadi

sath sae ki tarah wahshat mein uryani hui

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
saath saa.e kī tarah vahshat meñ uryānī huī
mujh se dīvāne ke pīchhe ye bhī dīvānī huī
sadqe un kī zulf ke merī pareshānī huī
maiñ to dīvāna thā ye bhī aaj dīvānī huī
un ke āñchal meñ adā ban kar qayāmat chhup chukī
vo mirī jaanī huī vo merī pahchānī huī
kis ke jalve ne nigāh-e-shauq par Daalā asar
tuur ke dāman meñ achchhī barq jaulānī huī
ab jo khul-kheleñ ye joban koī is ko kyā kare
parde parde meñ bahut un kī nigahbānī huī
mānte haiñ vo mujhe ye ġhair ko taslīm hai
maan lete haiñ mirī ye baat hai maanī huī
ġhair hī ke ho raheñ ab kyā rafū karte haiñ vo
chāk-dāmānī se un kī chāk-dāmānī huī
qaht thā kitne maze kā husn-e-arzāñ bik gayā
is girānī meñ maze aa.e vo arzānī huī
zulf-o-ruḳh ne maarā taarā dīda-o-dil kyā kaheñ
kis ko hairānī huī kis ko pareshānī huī
zamzamī meñ jām-e-mai meñ gir gayā paanī sivā
thī mirī qismat meñ jaisī aaj sab paanī huī
va.ada dushman se na thā to hashr meñ sharmā.e kyuuñ
is tarah vo chup haiñ goyā baat hai maanī huī
dekh kar sabza mirī turbat kā badlī vaz-e-jaur
āsmānī aap kī poshāk kyuuñ dhānī huī
Dher haiñ kitne yahāñ bām-e-hasīnāñ se buland
jins-e-dil uThtī nahīñ itnī farāvānī huī
pāk-sāf aisī hai jis ne pī farishta ban gayā
zāhido ye huur ke dāman meñ hai chhānī huī
band TuuTe maskī mahram rañg uḌā joban luTā
ġhair ke ghar jā ke un kī ḳhuub mehmānī huī
aa.eñ jā.eñge adū ham toḌ kar baiTheñge paañv
aap ne darbāñ banāyā ham se darbānī huī
shakl kyā khiñchtī mirī maiñ gard-bād-e-dasht thā
gard tasvīr-e-junūñ se san.at-e-mānī huī
piite hī duniyā ke jhagḌoñ se hue be-fikr ham
kis qadar dushvāriyāñ thiiñ kitnī āsānī huī
dāman-e-gulchīñ meñ bhī kuchh phuul barsā.e 'riyāz'
kahiye kuchh us kī zamīñ meñ bhī gul-afshānī huī
Top Urdushayar.com