kisī se vasl meñ sunte hī jaan suukh ga.ī
chalo haTo bhī hamārī zabān suukh ga.ī
ik āh-e-garm ne jhulsā.e ḳhosha-e-anjum
tamām khetī tirī āsmān suukh ga.ī
qayāmat aur vo hañgāma phir qayāmat kā
lahad se uThte hī dhaḌkoñ se jaan suukh ga.ī
rahā na ba.ad mire haa.e koī ābla-pā
pukārte haiñ ye kāñTe zabān suukh ga.ī
shab-e-firāq kā aadhā nahīñ rahā tan-o-tosh
ye mere ghar jo huī mehmān suukh ga.ī
milā bhī ham ko to be-vaqt is tarah khānā
ki chāval aiñTh ga.e aur naan suukh ga.ī
bahut hī phūlī huī thī ye apnī rañgat par
jo dekhā rañg mirā za.afrān suukh ga.ī
havā-e-garm ḳhizāñ meñ vo rañg-o-rūp kahāñ
thī andalīb yūñhī dhān-pān suukh ga.ī
'riyāz' yaad hai un kā visāl meñ kahnā
ḳhudā ke vāste chhoḌo zabān suukh ga.ī