chheḌte haiñ gudgudāte haiñ phir armāñ āj-kal
jhūTe sachche koī kar le ahd-o-paimāñ āj-kal
ghoñT de merā galā kuchh zor agar us kā chale
haath se mere hī tañg itnā garebāñ āj-kal
chaḌh ga.e dīvār-e-zindāñ par kabhī utre kabhī
ham bane haiñ sāya-e-dīvār-e-zindāñ āj-kal
roz rātoñ ko sunā kartā huuñ ye āvāz-e-qais
phāḌe khātā hai mujhe ḳhālī bayābāñ āj-kal
ai urūs-e-teġh kuchh tujh ko hayā bhī chāhiye
kyuuñ gale paḌtī hai tū ho ho ke uryāñ āj-kal
sañg-dil kāfir kā shāyad TūTte dekhā hai kufr
TuuT kar milte haiñ mujh se is ke darbāñ āj-kal
aa gayā aisā hī ab kāfir zamāna kyā kareñ
daabe phirte haiñ baġhal meñ log īmāñ āj-kal
rāt-din hai merī turbat par hasīnoñ kā hujūm
dekhne kī chiiz hai gor-e-ġharībāñ āj-kal
din ko roza iid shab ko hai ajab shaġhl-e-'riyāz'
rāt-bhar piitā hai ye mard-e-musalmāñ āj-kal