Riyaz Khairabadi

utri hai aasman se jo kal uTha to la

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
utrī hai āsmāñ se jo kal uThā to lā
tāq-e-haram se shaiḳh vo botal uThā to lā
lailā ke dil meñ qais nikal aa.egī jagah
tū sar par aaj najd kā jañgal uThā to lā
dhonā hai dāġh-e-jāma-e-ehrām sub.h sub.h
hujre se shaiḳh paanī kī chhāgal uThā to lā
mujh ko bhī intizār thā abr aa.e to piyūñ
saaqī agar ye sach hai ki bādal uThā to lā
vo husn-e-vaz.a dekheñge kyūñkar juḌe haiñ dil
zar-gar na.ī banī hai jo haikal uThā to lā
tāq-e-haram meñ shaiḳh gulābī hai phuul sī
is kaam kā milegā tujhe phal uThā to lā
ban jaa.e din ye tīra-shab-e-hijr ai nadīm
raushan thā jis se tuur vo mash.al uThā to lā
maiñ kaam lūñgā abr kā ai riñd taan kar
tū mujh faqīr-e-mast kā kambal uThā to lā
ai shaiḳh mez se dam-e-iftār farsh par
piine ko phuul khāne ko kuchh phal uThā to lā
nāseh kā muñh ho band chakhā duuñ sharāb-e-ḳhuld
saaqī zarā 'riyāz' kī botal uThā to lā
Top Urdushayar.com