Riyaz Khairabadi

mujhko dekha to hans ke kahte hain

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
mujh ko dekhā to hañs ke kahte haiñ
ashk ab be-sabab bhī bahte haiñ
un ke kūche meñ ḳhush vo rahte haiñ
har tarah ke jo rañj sahte haiñ
jin ke dil meñ hai dard duniyā kā
vahī duniyā meñ zinda rahte haiñ
mai-kada kyuuñ hai qibla-e-hājāt
vo mujhe bevaqūf kahte haiñ
jo miTāte haiñ ḳhud ko jiite jī
vahī mar kar bhī zinda rahte haiñ
dījiye kyuuñ 'riyāz' ko taklīf
sher sunte haiñ vo na kahte haiñ
Top Urdushayar.com