Riyaz Khairabadi

ye gawara ki mera dast-e-tamanna bandhe

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ye gavārā ki mirā dast-e-tamannā bāñdhe
apnī mahram ko na kas kar koī itnā bāñdhe
baḌh ke aa.e nigah-e-shauq balā.eñ le le
koī baiThā hai kis andāz se juuḌā bāñdhe
shohrat-e-be-asarī koī miTā.e kyuuñ kar
ho na dard aah meñ to koī havā kyā bāñdhe
dhajjiyāñ kyā mire dāman kī mire kaam aa.eñ
baiTh kar dasht meñ sab ābla-e-pā bāñdhe
hai burī baat kaho khol ke botal rakh de
shaiḳh pagḌī meñ na bāzār kā saudā bāñdhe
ik zarā khā le havā najd kī ThanDī ThanDī
kah do lailā abhī mahmil meñ na pardā bāñdhe
bikhrī zulfeñ yūñhī lahrā.eñ ruḳh-e-raushan par
kabhī juuḌā na mirā gesuoñ vaalā bāñdhe
jab maiñ dekhūñ mirī āñkhoñ meñ mirā ghar phir jaa.e
chakkar itnā to bayābāñ meñ bagūlā bāñdhe
ham ne dekhā taraf-e-mai-kada jaate the 'riyāz'
ik asā thāme abā pahne amāma bāñdhe
Top Urdushayar.com