Riyaz Khairabadi

aur mai-KHana-nashin chor banae na gae

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
aur mai-ḳhāna-nashīñ chor banā.e na ga.e
ham dhare jaate haiñ nāhaq kahīñ aa.e na ga.e
shoḳhiyāñ terī uThā.eñgī mujhe bazm se kyā
un se to sharm ke parde bhī uThā.e na ga.e
qaid naġhme kī huī qaid-e-qafas par turra
ham se sayyād ko naale bhī sunā.e na ga.e
parda Daalā tirī rahmat ne mire isyāñ par
un farishtoñ se mire aib chhupā.e na ga.e
kaun sā lutf na firdaus meñ paayā lekin
phir bhī duniyā ke mire dil se bhulā.e na ga.e
jab chale sū-e-lahad muḌ ke na dekhā ghar ko
aise rūThe ki kisī se bhī manā.e na ga.e
ye samajh kar ki gunahgār haiñ kis mālik ke
na ga.e hashr meñ ham aañkh jhukā.e na ga.e
ġhair ke jalne se kuchh aañch na aatī tum par
kyuuñ alag baiThe hue aag lagā.e na ga.e
na rahā hashr meñ nazzāre se mahrūm koī
qabr se ek hameñ aaj uThā.e na ga.e
kis ne dekhā hameñ kūche meñ hasīnoñ ke 'riyāz'
muft badnām hue ham kahīñ aa.e na ga.e
Top Urdushayar.com