Riyaz Khairabadi

zamin mai-kada-e-arsh-e-barin malum hoti hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
zamīn mai-kada-e-arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai
ye ḳhisht-e-ḳhum farishte kī jabīñ ma.alūm hotī hai
parī uḌne meñ zulf-e-ambarīñ ma.alūm hotī hai
ye kaalī shakl bhī kitnī hasīñ ma.alūm hotī hai
mirī hasrat tabassum-āfrīñ ma.alūm hotī hai
chhupī tere tabassum meñ nahīñ ma.alūm hotī hai
shafaq kah le koī chāhe shafaq-gūñ āsmāñ kah le
hameñ to kū-e-qātil kī zamīñ ma.alūm hotī hai
chalī hai teġh to kis naaz se tham tham ke ruk ruk kar
ye kuchh un se ziyāda nāznīñ ma.alūm hotī hai
are saaqī zarā merī sharāb-e-talḳh to laanā
mai-e-kausar to bilkul añgbīñ ma.alūm hotī hai
chhupī hai vo nigāh-e-shoḳh bhī mizhgāñ ke saa.e meñ
chhurī bhī aaj zer-e-āstīñ ma.alūm hotī hai
ubhāro to zarā shāyad mirā Duubā huā dil ho
koī shai bahr-e-ġham meñ tah-nashīñ ma.alūm hotī hai
nahīñ ab dard-e-dil lekin abhī tak hai asar kuchh kuchh
chamak rah rah ke pahlū meñ kahīñ ma.alūm hotī hai
asar Daalā hai hasrat ne nigāh-e-shauq par kitnā
ki vo ab bhī nigāh vāpsīñ ma.alūm hotī hai
ye ai sayyād rah rah kar chamaktī hai kahāñ bijlī
jahāñ merā nasheman thā vahīñ ma.alūm hotī hai
lapak us kī chamak us kī vahī dam-ḳham vahī aalam
ye bijlī koī āh-e-ātishīñ ma.alūm hotī hai
'riyāz' aisī mire dil se lagī hai jām-e-kausar kī
mai-e-añgūr ab achchhī nahīñ ma.alūm hotī hai
Top Urdushayar.com