Riyaz Khairabadi

naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
nayā khilā hai shagūfa koī bahār meñ kyā
guñdhā huā hai mirā dil kisī ke haar meñ kyā
uḌāne phuul hasīñ aa.e haiñ bahār meñ kyā
lagī hai aag sī ye aaj lāla-zār meñ kyā
kisī se kahne ye aa.e haiñ vo sahar hote
tamām-rāt kaTī mere intizār meñ kyā
tumhāre ḳhaal kā bosa nahīñ hai gintī meñ
zarā sī chiiz hai aa.egī ye shumār meñ kyā
utaar lī sar-e-bāzār jis ne ruḳh se naqāb
hijāb aa.e use sau maiñ kyā hazār meñ kyā
ye surma chashm-e-adū ke liye uThā rakkheñ
vo ḳhaak Dālte haiñ chashm-e-etibār meñ kyā
banā.eñge dil-e-pur-dāġh jam.a kar ke unheñ
chamakte dekhe haiñ zarre mire ġhubār meñ kyā
ye mere dosh se hote nahīñ judā dam-e-naz.a
gaḌeñge mere farishte mire mazār meñ kyā
hai intizār ki mai-nosh ḳhum liye pahuñcheñ
ghirī haiñ kal se ghaTā.eñ ye sabza-zār meñ kyā
jo dekhe saañp ke kaaTe kī lahr use aa.e
bharā hai zahr ab aisā bhī zulf-e-yār meñ kyā
sharāb se bhī sivā ḳhush-gavār hai ham ko
batā.eñ kyā ki mazā paḌ gayā udhār meñ kyā
kanār-e-shauq meñ aa kar hasīñ nikal na sake
asar ḳhudā ne diyā hai hamāre pyaar meñ kyā
'riyāz' tauba karo din ḳhizāñ ke aa.e haiñ
tum aa.e piine ko jaatī huī bahār meñ kyā
Top Urdushayar.com