ġharīb ham haiñ ġharīboñ kī bhī ḳhushī ho jaa.e
nazar huzūr idhar bhī kabhī kabhī ho jaa.e
ġhurūr bhī jo karūñ maiñ to ājizī ho jaa.e
ḳhudī meñ lutf vo aa.e ki be-ḳhudī ho jaa.e
ġham-e-firāq kī saḳhtī visāl se badle
jo maut aa.e mujhe merī zindagī ho jaa.e
mirī sharāb kī kyā qadr tujh ko ai vaa.iz
jise maiñ pī ke duā duuñ vo jannatī ho jaa.e
maiñ us nigāh ke sadqe ye ho asar jis meñ
ki dil meñ dard bhī uTThe to gudgudī ho jaa.e
sitam bhī ho to sitam meñ vo lutf pinhāñ ho
ki naala aa ke mire hoñTh par hañsī ho jaa.e
na pūchho bāda-gusārān-e-bazm-e-'vāris' kī
ye dekh leñ sū-e-vā.iz to vo valī ho jaa.e
haTā rahā huuñ shab-o-roz is liye ḳhud ko
fanā ke raaz se mujh ko bhī āgahī ho jaa.e
tirī nigāh-e-karam se ajab nahīñ vāris
'riyāz' sā sag-e-duniyā bhī aadmī ho jaa.e