Riyaz Khairabadi

hogi wo dil mein jo Thani jaegi

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
hogī vo dil meñ jo Thānī jā.egī
kyā hamārī baat maanī jā.egī
Dhal chukī hai ab javānī jā.egī
ye sharāb-e-arġhavānī jā.egī
ba.ad-e-tauba ātish-e-sayyāl-e-ḳhum
mere ghar se ho ke paanī jā.egī
ḳhizr yūñhī gum raheñge umr-bhar
yūñhī umr-e-jāvedānī jā.egī
teġh hī kyā haath meñ qātil ke thī
ai hinā tū bhī to saanī jā.egī
aa.e taare hijr kī shab kuchh nazar
ab balā-e-āsmānī jā.egī
arsh par hai ḳhush-jamāloñ kā mizāj
kyuuñ kar un kī lan-tarānī jā.egī
ḳhidmat-e-maiḳhāna kar le varna shaiḳh
rā.egāñ ye zindagānī jā.egī
maut se bad-tar buḌhāpā aa.egā
jaan se achchhī javānī jā.egī
shoḳhiyāñ kahtī haiñ khul kheleñge vo
ab hayā kī pāsbānī jā.egī
aag ban kar jaam meñ aa.egī mai
zamzamī meñ ho ke paanī jā.egī
bosa-e-gesū se haiñ chīñ-ba-jabīñ
rāt-bhar kyā sargirānī jā.egī
bole sun kar dil ke pāmālī kā haal
kis galī kī ḳhaak chhānī jā.egī
jaan se baḌh kar ise rakhte aziiz
kyā samajhte the javānī jā.egī
saath laa.e haiñ qafas se nā-tavāñ
jaate jaate nā-tavānī jā.egī
naale karnā siikh le ai andalīb
ab ye tarz-e-naġhma-ḳhvānī jā.egī
shaiḳh ne māñgī hai apnī umr kī
mai-kade se ab purānī jā.egī
jā chuke haiñ aap kal dushman ke ghar
aaj marg-e-nā-gahānī jā.egī
piine aa.eñ to farishta-ḳhū 'riyāz'
huur ke dāman meñ chhānī jā.egī
Top Urdushayar.com