Riyaz Khairabadi

munh dikha kar munh chhupana kuchh nahin

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
muñh dikhā kar muñh chhupānā kuchh nahīñ
kuchh nahīñ ye muñh dikhānā kuchh nahīñ
thā jo kyā kuchh baat kahte kuchh na thā
aadmī kā bhī Thikānā kuchh nahīñ
gul haiñ māshūqoñ ke dāman ke liye
qabr-e-āshiq par chaḌhānā kuchh nahīñ
hai satāne kā bhī lutf ik vaqt par
har ghaḌī un ko satānā kuchh nahīñ
be-manā.e man ga.e ham aap se
aise rūThe ko manānā kuchh nahīñ
haath se gulchīñ ke jhaTke kaun khaa.e
shāḳh-e-gul par āshiyānā kuchh nahīñ
ye hasīñ haiñ pyaar kar lene kī chiiz
in hasīnoñ ko satānā kuchh nahīñ
ai habāb apnī zarā hastī to dekh
is par itnā sar uThānā kuchh nahīñ
tū ne tauba kī to hai lekin 'riyāz'
baat kā terī Thikānā kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com