parde parde meñ ye kar letī haiñ rāheñ kyūñkar
paar ho jaatī haiñ siine kī nigāheñ kyūñkar
dil meñ aane kī nikal aatī haiñ rāheñ kyūñkar
uupar uTh jaatī haiñ vo nīchī nigāheñ kyūñkar
kar liyā karte the dil khol ke aaheñ kyūñkar
ab ye ronā hai karāheñ to karāheñ kyūñkar
gudgudāne nahīñ aatī haiñ sar-e-bām tumheñ
arsh par kheltī haiñ jā ke ye aaheñ kyūñkar
nikleñ ghuñghaT meñ ye mizhgāñ ke jo nikleñ bhī kabhī
shoḳh ho jaatī haiñ sharmīlī nigāheñ kyūñkar
tū bhī jaane ki milā chāhne vaalā tujh ko
tū batā de tire sadqe tujhe chāheñ kyūñkar
kyā ḳhabar hai tujhe o chain se sone vaale
ki dam-e-sard banā kartī hai aaheñ kyūñkar
tuur vaalo se lab-e-bām haiñ aane vaale
dekheñ laḌtī haiñ nigāhoñ se nigāheñ kyūñkar
shauq idhar sharm udhar baat na.ī raat na.ī
dekheñ miltī haiñ nigāhoñ se nigāheñ kyūñkar
ye umañgeñ ye tarañgeñ ye javānī ye shabāb
tauba kar ke ye batāo ki nibāheñ kyūñkar
sharm ke putle ko aa jaatī hai kyūñkar shoḳhī
bijliyāñ bantī haiñ sharmīlī nigāheñ kyūñkar
ham 'riyāz' auroñ se ḳhuddār sivā haiñ lekin
rah ke māshūqoñ meñ ham vaz.a nibāheñ kyūñkar