Riyaz Khairabadi

nahin chhupta tere itab ka rang

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
nahīñ chhuptā tire itaab kā rañg
ki badalne lagā naqāb kā rañg
phir gayā aañkh meñ sharāb kā rañg
zālim uf re tire shabāb kā rañg
ab to laale haiñ jān-e-muztar ke
aur hī kuchh hai iztirāb kā rañg
tere aate hī ho ga.ī paanī
uḌ gayā mohtasib sharāb kā rañg
rañg lā.egā dīda-e-pur-āb
dekhnā dīda-e-pur-āb kā rañg
dāġh-e-dāman ne bhī kiyā paidā
hashr ke roz āftāb kā rañg
shaiḳh jaanā tujhe mohabbat meñ
dekhtā jā mirī sharāb kā rañg
sadqe meñ apnī pārsā.ī ke
ki buḌhāpe meñ hai shabāb kā rañg
ḳhuun se jaise vāsta hī nahīñ
saaf hai ḳhanjar-e-pur-āb kā rañg
rīsh-e-vā.iz safed hai kitnī
nahīñ chaḌhtā kabhī ḳhizāb kā rañg
rañg kā us ke pūchhnā kyā hai
jis kā saaya bhī de gulāb kā rañg
sach hai ai hazrat-'riyāz' ye baat
ki judā sab se hai janāb kā rañg
Top Urdushayar.com