Riyaz Khairabadi

wo hon muTThi mein unki dil ho hum hon

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
vo hoñ muTThī meñ un kī dil ho ham hoñ
yūñhī parda sā kuchh haa.il ho ham hoñ
satā.eñ ham usī tarah jis tarah chāheñ
koī nashshe meñ yuuñ ġhāfil ho ham hoñ
tumhārā baam rashk-e-āsmāñ ho
agar tum ho mah-e-kāmil ho ham hoñ
mazā ḳhalvat kā aa.e qatl-gah meñ
vahāñ koī na ho qātil ho ham hoñ
har ik goshe meñ jaise hashr barpā
na.e fitne hoñ vo mahfil ho ham hoñ
nahīñ parvā na sabza ho lab-e-jū
ye miinā ho lab-e-sāhil ho ham hoñ
hamāre haath meñ ho teġh qātil
na ho koī adū bismil ho ham hoñ
girah ho zulf kī dil meñ hamāre
hamārā uqda-e-mushkil ho ham hoñ
purāne najd meñ ab hoñ na.e aaj
na.ī lailā nayā mahmil ho ham huuñ
yūñhī ham apnī hastī se guzar jaa.eñ
hamārī sa.i-e-lā-hāsil ho ham hoñ
ye kam-baḳht ik jahān-e-ārzū hai
na ho koī hamārā dil ho ham hoñ
na ham uTTheñ na koī haath uThā.e
gale par ḳhanjar-e-qātil ho ham hoñ
ye sahv-o-mahv hoñ ham sair-e-gul meñ
har ik ġhuncha hamārā dil ho ham hoñ
'riyāz' us shoḳh ko bhī tum sunā do
vo kyā hai chulbulā sā dil ho ham hoñ
Top Urdushayar.com