Riyaz Khairabadi

duniya se alag humne maiKHane ka dar dekha

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
duniyā se alag ham ne maiḳhāne kā dar dekhā
maiḳhāne kā dar dekhā allāh kā ghar dekhā
goshe se nasheman ke aahoñ kā asar dekhā
sayyād kā ghar jalte be-barq-o-sharar dekhā
donoñ ke maze luuTe donoñ kā asar dekhā
allāh kā ghar dekhā maiḳhāne kā dar dekhā
yuuñ hashr meñ saireñ kiiñ firdaus-o-jahannam kī
kuchh der udhar dekhā kuchh der udhar dekhā
ai shaiḳh vo ka.aba ho yā ho dar-e-mai-ḳhāna
tū ne mujhe jab dekhā sajde hī meñ sar dekhā
naala hameñ karnā thā dam ishq kā bharnā thā
sau rañg se marnā thā har rañg se mar dekhā
jab mauj ubhartī hai kahtī hai vo shoḳhī se
baazū meñ bat-e-mai ke surḳhāb kā par dekhā
Tāñke diye jaate haiñ kyuuñ lab siye jaate haiñ
hañsne kā mazā tū ne ai zaḳhm-e-jigar dekhā
nisbat nahīñ mujh ko kuchh bekas ke bujhe dil se
bujhte hue tujh ko bhī aa.e sham-e-sahar dekhā
sahme hue baiThe haiñ kho.e hue baiThe haiñ
jis raat ke armāñ the us raat ko Dar dekhā
phal phuul nahīñ laate ye bāġh-e-mohabbat meñ
har naḳhl-e-tamannā ko be-barg-o-samar dekhā
ka.abe meñ nazar aa.e jo sub.h azaañ dete
maiḳhāne meñ rātoñ ko un kā bhī guzar dekhā
kuchh kaam nahīñ mai se go ishq hai us shai se
maiñ riñd 'riyāz' aise dāman bhī na tar dekhā
Top Urdushayar.com