Riyaz Khairabadi

ye jitni der hui shaiKH ko wuzu karte

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ye jitnī der huī shaiḳh ko vuzū karte
ham utnī der meñ ḳhālī ḳhum-o-subū karte
shikār bhī bat-e-mai kā kinār-e-jū karte
vahīñ namāz bhī paḌhte vahīñ vuzū karte
kalīm baat baḌhāte na guftugū karte
lab-e-ḳhamosh se iz.hār-e-ārzū karte
hasīn bhī hoñ ḳhush-āvāz bhī farishta-e-qabr
kaTī hai umr hasīnoñ se guftugū karte
hamārī bhuul kā sāgar ye gul agar bante
to aur rañg se izhār-e-rañg-o-bū karte
girāte yūñhī sar-e-tūr bijliyāñ ham par
agar hijāb thā parde se guftugū karte
ye dāġh-e-mai haiñ bure phailte sar-e-dāman
jo āb-e-zamzam-o-kausar se ham vuzū karte
hameñ ḳhudā ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
nikal ga.e haiñ bahut duur justujū karte
paḌī hai ḳhū-e-subūhī darāz hai shab-e-gor
uTheñge hashr ke din ham subū subū karte
masak gayā hai kisī kā zarā sā dāman-e-gul
jagah jagah se sisaktā jo tum rafū karte
ba-qadr-e-zarf-e-vuzū mai jo miltī paanī sī
siyāh-rū bhī dam-e-hashr shust-o-shū karte
na thā shabāb kamar meñ 'riyāz' zar hotā
to din buḌhāpe ke bhī nazr-e-lucknow karte
Top Urdushayar.com