Riyaz Khairabadi

subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934

sub.h hai raat kahāñ ab vo kahāñ raat baat

baat baat to hai baiTh bhī lo baat baat

arsh par rahte haiñ kyā ka.abe ke rahne vaale

koī suntā nahīñ ahl-e-ḳharābāt baat

ye koī baat hai ḳhum saath liye vaa.iz aa.e

aur phir maiñ na sunūñ qibla-e-hājāt baat

phuuT kar rote hue dekh liyā hai mujh ko

chheḌne ko mire har-vaqt hai barsāt baat

vahī ubhrī hai shikan ban ke jabīñ par terī

gaḌ ga.ī dil meñ tire kyā kisī bad-zāt baat

na khulā ye ki kahāñ shab ko bichā.ī thī bisāt

ġhair chaal kuchh zikr thā kuchh baat baat

jab kahā maiñ ne kaho ġhair ke ghar kuchh haal

bole jhuñjhlā ke nikālī vahī be-bāt baat

kahīñ aisā na ho aa jaa.e taras aap ko kuchh

aap suniye na kisī morid-e-āfāt baat

zarf-e-be-mai se pilā.ī to haram meñ phailī

phailtī jald hai kuchh ahl-e-karāmāt baat

raat ka.abe meñ ga.ī qulqul-e-mīnā ban kar

na to chhuptī hai na dabtī hai ḳharābāt baat

koste haiñ vo burī tarah jo kahtā huuñ 'riyāz'

rāt-bhar aaj bhī hotī rahī kal raat baat

Top Urdushayar.com