Riyaz Khairabadi

ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ye sar-ba-mohr botaleñ haiñ jo sharāb kī
rāteñ haiñ un meñ band hamārī shabāb kī
pūchho na ham se ālam-e-ġhaflat ke ḳhvāb kī
duniyā kuchh aur hī thī hamāre shabāb kī
ye nashsha aañkh dekh ke us mast ḳhvāb kī
jaise abhī chaḌhā.ī ho botal sharāb kī
surḳhī shafaq kī shakl mah-o-āftāb kī
chhalkī huī sharāb hai jām-o-sharāb kī
kyuuñ TūTtī haiñ bijliyoñ par aaj bijliyāñ
shāyad girah khulī tire band-e-naqāb kī
mīnā-o-jām dekh ke ḳhush hogā mohtasib
samjhegā vo khilī huī kaliyāñ gulāb kī
thī sar-ba-mohr phuuT ga.ī apne zor meñ
tauba se pahle TuuTī hai botal sharāb kī
sharmā ga.iiñ jo bosa-e-lab baaġh meñ liyā
simTī haiñ kyā khilī huī kaliyāñ gulāb kī
ham ne tamām umr meñ kitnī sharāb pī
shāyad batā sake hameñ mīzāñ hisāb kī
chehre kā rañg dekh lo tum rakh ke aa.ina
bose se dauḌ jā.egī surḳhī shahāb kī
mahfil meñ pī jo phuul to is ehtiyāt se
mīnā-e-mai ne bū na kabhī dī sharāb kī
ai kasrat-e-gunāh tire Dar se dab ga.ī
dekhā mujhe ki jhuk ga.ī mīzāñ hisāb kī
zarra havā meñ bhar ke banā aadmī kī shakl
qatra havā meñ bhar ke hai sūrat habāb kī
chakkar havā ne itne diye haiñ ki gard-e-bād
tasvīr ban gayā hai mire pech-o-tāb kī
saa.e se us kī zulf ke bint-e-inab ko kyā
ban kar parī uḌegī ye botal sharāb kī
ye kah ke kal dikhā.e unheñ pāra-e-jigar
bikhrī huī ye pañkhuḌiyāñ haiñ gulāb kī
har shaam saath laatī hai ik chaudhvīñ kā chāñd
kyā jāneñ kyā kareñgī ye rāteñ shabāb kī
kam-baḳht ne sharāb kā zikr is qadar kiyā
vaa.iz ke muñh se aane lagī bū sharāb kī
do ghūñT par sharāb ke hai hasr zindagī
rāteñ shabāb kī haiñ na bāteñ shabāb kī
kaam aa.egī 'riyāz' ke mashq-e-tavāf-e-ḳhum
ka.abe ke gird hoñge jo sūjhī savāb kī
Top Urdushayar.com