vo kaun log haiñ jo mai udhār lete haiñ
ye mai-farosh to Topī utaar lete haiñ
ye paas parda-nashīnoñ kā hai ki naale bhī
jo ūñche hote haiñ parde pukār lete haiñ
vo kahte haiñ abhī allāh itnī tāqat hai
jo karvaTeñ kabhī ham be-qarār lete haiñ
bachā.eñge gul-o-bulbul ko dām-e-gulchīñ se
jo koī pahuñche to fasl-e-bahār lete haiñ
yahī haiñ kaam nikaltā hai jin kā be-tā.at
maze karam ke tire sharmsār lete haiñ
utarte arsh se Dartā hai tū duā vaale
asar ko haath baḌhā kar utaar lete haiñ
sharāb ke liye mai-nosh muñh haiñ phailā.e
jam.hā.īyāñ nahīñ vaqt-e-ḳhumār lete haiñ
gunāhgār haiñ itne hī un butoñ ke ham
ki pāñch vaqt ḳhudā ko pukār lete haiñ
jamā ye rañg ki ab vaqt-e-zamzama-sanjī
chaman meñ mujh ko anādil pukār lete haiñ
piye hoñ kitnī hī lekin ye hosh rahtā hai
ki sote vaqt vo zevar utaar lete haiñ
'riyāz' bātoñ meñ apnī agar nahīñ jaadū
parī ko shīshe meñ yūñhī utaar lete haiñ