Riyaz Khairabadi

dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
dar khulā sub.h ko pau phaTte hī mai-ḳhāne kā
aks sūraj hai chhalakte hue paimāne kā
husn maujoñ kā chhalaknā bhare paimāne kā
raqs pariyoñ kā hai aalam hai parī-ḳhāne kā
haa.e zanjīr-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahār
aur zindāñ se nikalnā tire dīvāne kā
sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke saath
sho.ala goyā par-e-parvāz hai parvāne kā
hoñ vahāñ ġham hai jahāñ hasti-e-mauhūm mirī
dūsrā naam adam hai mire vīrāne kā
na bayāñ ho jo mile sub.h-e-azal shām-e-abad
hashr hai beach kā TukḌā mire afsāne kā
parda bhī baat bhī jalva bhī pas-e-dāman-e-barq
shoḳhiyāñ haiñ ki ye andāz hai sharmāne kā
baal ke badle nazar aate haiñ is meñ sau chaak
aks ā.īna-e-dil par bhī paḌā shāne kā
peT meñ ḳhum ke hai jo kuchh vo bharā hai is meñ
muñh na khulvā are vaa.iz mire paimāne kā
kyā tasavvur hī se uTh jaate haiñ parde dil ke
dil bhī kyā naam hai un ke kisī kāshāne kā
rakhtī hai ālam-e-nau sorish-e-hañgāma-e-ishq
hashr ik harf-e-ġhalat hai mire afsāne kā
aap ke haar kī kaliyoñ se ye milne kā nahīñ
dil hai miTTī kā na ghulne kā na murjhāne kā
khiñchne vaalī kī jhalak dekhī hai jab se saaqī
dekhnā muñh mujhe añgūr ke har daane kā
phirtī hai hashr ke din aañkh ke nīche shab-e-vasl
haa.e andāz vo us zulf ke bal khāne kā
sham-e-ka.aba rahe mahfūz ilāhī tā-hashr
naam raushan hai ik ujḌe hue but-ḳhāne kā
na havā thī na mirī āh-e-adū the vo the
haal shab ko na khulā sham.a ke bujh jaane kā
log kahte haiñ ki hai zāhid-e-martāz 'riyāz'
riñd kahte haiñ use chor hai mai-ḳhāne kā
Top Urdushayar.com