milā bhī ye to use phir ḳhudā nahīñ miltā
nahīñ nahīñ dil-e-be-mudda.ā nahīñ miltā
vo kah rahe haiñ ki un ko ḳhudā nahīñ miltā
koī hamāre sivā dūsrā nahīñ miltā
miTe huoñ kā ilāhī patā nahīñ miltā
rah-e-adam meñ kahīñ naqsh-e-pā nahīñ miltā
hinā se ḳhuun kisī ġhair kā milā hogā
hamāre ḳhuun se rañg-e-hinā nahīñ miltā
zamīn par kabhī un ke qadam nahīñ paḌte
ki sajda karne ko bhī naqsh-e-pā nahīñ miltā
nikal ke dekhte kyā hai havā zamāne kī
dar-e-qafas kabhī ham ko khulā nahīñ miltā
lahad se uTh ke kahāñ jā.iye qayāmat hai
vo bhiiḌ hai ki kahīñ rāsta nahīñ miltā
achhūte jaam haiñ mannat ke kuchh alag rakkhe
kise pilā.eñ koī pārsā nahīñ miltā
ye aas laa.ī hai saaqī ke āstāne par
dar-e-karīm se saa.il ko kyā nahīñ miltā
burī tarah lab-e-shīrīñ kisī ne chūse haiñ
ki gāliyoñ meñ tirī ab mazā nahīñ miltā
bajā ke dekhe haiñ nāqūs ham ne vaqt-e-azāñ
'riyāz' aap kā un se galā nahīñ miltā