Riyaz Khairabadi

ishq mein dil-lagi si rahti hai

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ishq meñ dil-lagī sī rahtī hai
ġham bhī ho to ḳhushī sī rahtī hai
dil meñ kuchh gudgudī sī rahtī hai
muñh par un ke hañsī sī rahtī hai
ye huā hai ḳhudā ḳhudā kar ke
rāt-din be-ḳhudī sī rahtī hai
hashr ke din bhī kuchh gunah kar luuñ
ma.asiyat meñ kamī sī rahtī hai
sadqe maiñ apne ġhuncha-dil ke
ye kalī kuchh khilī sī rahtī hai
itnī pī hai ki ba.ad-e-tauba bhī
be-piye be-ḳhudī sī rahtī hai
aish bhī ho to lutf-e-aish nahīñ
har-dam afsurdagī sī rahtī hai
shab-e-ġham kī sahar meñ nuur kahāñ
sub.h bhī shaam hī sī rahtī hai
ye nahīñ hai ki parda paḌ jaa.e
nashshe meñ āgahī sī rahtī hai
rahte haiñ gul lahad ke pazhmurda
sham.a bhī kuchh bujhī sī rahtī hai
ho ga.ī kyā balā mire ghar ko
rāt-din tīrgī sī rahtī hai
ab junūñ kī evaz hai yād-e-junūñ
haath meñ hathkaḌī sī rahtī hai
kaf-e-pā se hinā nahīñ chhuTtī
aag ye kuchh dabī sī rahtī hai
terī tasvīr ho ki teġh tirī
ham se har-dam khiñchī sī rahtī hai
badle botal ke ab haram meñ 'riyāz'
haath meñ zamzamī sī rahtī hai
Top Urdushayar.com