Riyaz Khairabadi

munh zer-e-tak khola waiz bahut hi chuka

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
muñh zer-e-tāk kholā vaa.iz bahut hī chūkā
beloñ ne dāḌhī pakḌī ḳhoshoñ ne muñh meñ thūkā
kahtā hai kyuuñ anal-haq jo qatra hai lahū kā
muñh khul gayā hai shāyad merī rag-e-gulū kā
shoḳhī jo barq kī hai garmī sharār kī hai
kuchh kah rahā hai muusā andāz-e-guftugū kā
dhonā hai vaqt-e-āḳhir muñh kī mujhe siyāhī
ai ashk-e-sharm ab bhī mauqa hai shust-o-shū kā
kyuuñ tifl-e-ashk lipTe ai dil na āstīñ se
parvarda hai ye mere dāmān-e-ārzū kā
saaqī bahār dar-kaf phuul aa.e mai-kade se
tūfān uTh rahā hai gulshan meñ rañg-o-bū kā
vaa.iz tujhe ḳhabar hai mai-ḳhāna kis kā ghar hai
ḳhum us kī pusht par hai khulvā na muñh subū kā
mere badan ke ro.eñ āvāz deñge hū kī
sahrā meñ ghar hai merā ghar hai maqām hū kā
yaksāñ hai ḳhūñ-chakānī' yaksāñ hai ḳhūñ-fishānī
haiñ ek dīda-o-dil ye josh hai lahū kā
samjhe haiñ ḳhizr jis ko sahrā-navard-e-ulfat
naqsh-e-fanā vo ik hai vo pā-e-justujū kā
gardūñ habāb is meñ ġharq āftāb is meñ
dil kī bisāt kyā hai ek qatra hai lahū kā
kyuuñ itne ūñche jaa.eñ kyuuñ ulTī muñh kī khā.eñ
aatā hai apne muñh par jab āsmāñ kā thūkā
donoñ bahut haiñ nāzuk un nāznīñ butoñ se
allāh hai nigahbāñ īmān-o-ābrū kā
añgūr hī meñ utrā qismat kā āb-o-dāna
maiñ thā isī kā pyāsā maiñ thā isī kā bhūkā
maiñ ai 'riyāz' ḳhush huuñ ik boriyā hī maiñ huuñ
pahle jo zarf-e-mai thā ab zarf hai vuzū kā
Top Urdushayar.com