Riyaz Khairabadi

yahi hai unki nazakat to haal kya hoga

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
yahī hai un kī nazākat to haal kyā hogā
mujhe ye Dar hai ki vaqt-e-visāl kyā hogā
kisī kā sabza-e-turbat na ho sakā pāmāl
ḳhirām-e-nāz se dil pā.emāl kyā hogā
lahad par aane lagā kyuuñ pas-e-fanā koī
miTe huoñ kā kisī ko ḳhayāl kyā hogā
vo sin hī kyā hai samajh ho jo aisī bātoñ kī
vo pūchhte haiñ ki roz-e-visāl kyā hogā
na dil rahā na tabī.at rahī vo pahlī sī
kisī kī baat kā ham ko malāl kyā hogā
kanār-e-shauq meñ kyuuñ aa.ine kī ḳhvāhish hai
vo baat hī nahīñ chehra niDhāl kyā hogā
ajal ḳhudā ke liye rahm kar hasīnoñ par
milā ke ḳhaak meñ husn-o-jamāl kyā hogā
mirī ḳhushī kī unheñ kis liye ḳhushī hogī
mire malāl kā un ko malāl kyā hogā
batā.eñ kyā tumheñ kyuuñ kar gale lagā.eñge
batā.eñ kyā tumheñ roz-e-visāl kyā hogā
sharāb piine kī aadat hai mujh ko chullū se
mujhe milā bhī to jām-e-sifāl kyā hogā
'riyāz' umr to guzrī siyāhkārī meñ
ḳhabar nahīñ ki hamārā ma.aal kyā hogā
Top Urdushayar.com