Riyaz Khairabadi

thaka le aur daur-e-asman tak

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
thakā le aur daur-e-āsmāñ tak
phir āḳhir gardish-e-qismat kahāñ tak
baḌī us dil kī betābī yahāñ tak
hamīñ hamīñ ham haiñ zamīñ se āsmāñ tak
dam-e-va.ada unheñ hai baar haañ tak
zabāñ thak jaa.e jo ai be-zabāñ tak
mujhe piinā paḌe āḳhir vo aañsū
jo bhar jaate zamīñ se āsmāñ tak
koī sau baar uḌe sau baar baiThe
qafas se yuuñ ham aa.e āshiyāñ tak
gilā bhī thā kisī kā raaz koī
ki aa kar rah gayā merī zabāñ tak
salāmat haiñ agar mere par-o-bāl
qafas jā.egā uḌ kar āshiyāñ tak
mirī bedāriyāñ bekār kyuuñ jaa.eñ
unheñ pahuñchā do chashm-e-pāsbāñ tak
kuchh us ne is tarah kaaTī mirī baat
ki TukḌe ho ga.ī merī zabāñ tak
junūñ se ham na kotāhī kareñge
hamārā haath pahuñchegā jahāñ tak
ḳhudāyā mere sajde duur hī se
pahuñch jaa.eñ kisī ke āstāñ tak
sahārā kuchh to darmāndoñ ko hotā
pahuñch jaate jo gard-e-kārvāñ tak
mirī fariyād sun kar chup raheñge
use pahuñchā.eñge vo āsmāñ tak
mujhī par chhoḌ do merī mai-e-talḳh
mazā us kā hai kuchh merī zabāñ tak
kalīsā-o-haram donoñ haiñ ābād
mire nāqūs tak merī azaañ tak
kuchh aisā rabt hai sayyād ke saath
hamīñ ham haiñ qafas se āshiyāñ tak
hamīñ Thukrāte jaa.eñ jo vahāñ jaa.eñ
pahuñch jaa.eñ yūñhī ham āstāñ tak
ma.āsī ke sivā do do farishte
inheñ laade phirūñ yārab kahāñ tak
pahuñch jā.ūñ jo yārab mai-kade meñ
mirā paanī bhare pīr-e-muġhāñ tak
vo ḳhūgar nāla-e-dushman kā ho jaa.e
na suntā ho jo harf-e-dāstāñ tak
'riyāz' aane meñ hai un ke abhī der
chalo ho aa.eñ marg-e-nā-gahāñ tak
Top Urdushayar.com